Keyword Planner Kya Hai | Keyword Tool In Hindi jankari

Keyword Planner Kya Hai

Hello Boggers, aaj ka hamara blogging topic he ” Keyword Planner Kya Hai ” and sath hi janenge ki keyword tool kaise use karte he.

Sabse pehle jaane Keyword Kya hai?

Jab hum kisi cheez ko Google ya doosre search engine mein search karte hain to google us search ke anusaar bahut se vikalp hamein deta hai. Is prakar search engine mein type kiya hua har word jisse aap search karne par website par pahunch rahe hain ek Keyword hai. Search engine keyword type karte hi hazaron site apke samne rakh deta hai aur woh site sabse pehle aati hai jo us keyword se sabse zyada related hoti hai. Uskay baad related sites ki sankhya kam hoti jaati hai. Waise to Google ya doosre search engine apne search result ko doosre aur teesre page tak ya aur zyada pages tak bhi dikhate hain par sabse zyada faida un websites ko hota hai jo pehle page mein aati hain kyonki adhikansh user doosre page ko use hi nahin karte hain.

Acche Keyword ki zaroorat kyon hai?

Yadi aap apna koi business online karna chah rahe hain aur aapne uski ek website bana li hai ya aap blog chalate hain aur chahte hain ki apki website aur blog ko Google apne search result mein sabse pehle isthaan de to apko apni website aur blog se releated kuch aise keyword jodne honge jise Google ya doosra search engine tatkaal samajh jaaye aur turant hi apki website ko search kar apne search result ke pehle page par aapki website ya blog ko isthaan de.

Keyword Planner kya hai?

Keyword planner woh tool hai jiski madad se aap apne blog, website aadi ke liye aise keywords khoj sakte hain jinhe search engine aasani se samajh le. Yeh tool bilkul free hai. Iskay dwara aap yeh bhi jaan sakte hain kin keywords par monthly traffic zyada hota hai aur kaun se keywords acchi competition dete hain. Isprakar aap keyword plaaner dwara keyword ko search karke aur un keywords ka prayog karke apne blog aur website ko search engine ke result mein pehle page par la sakte hain.

Keyword planner ka upyog kaise karen?

Sabse pehle aap Google adword mein apna ek account banayen. Account bana lene ke baad aap Google adwords mein login karen. Ab jab aap login karenge to ek window aayegi. Usmay Tool option par ek baar left click karen. Tools option ke niche ek box aayega. Usmay Keyword Planner option par click karen. Iskay baad ek option aayega Search for new keywords using a phrase, website or category. Apko is option par click karna hoga.

Iskay baad  ek window aayegi jisme apko details bharna hoga. Ismae first box Your landing page  mein aap apni website ya blog ka naam aur path bharen. Iskay baad ke box mein aap apni product category ko select kijiye. Ab yadi aapki website ya blog Hindi language mein hai to apko chahiye ki aapki yeh website ya blog Hindi language wale deshon jaise India, Pakistan, Bangladesh, Nepal aadi mein zyada search ho. Iskay liye Targeting option ke nich bane box All Location par click kijiye aur usmay India, Pakistan, Bangladesh, Nepal select kar lijiye. Iskay niche ke box All languages par click kijiye aur ismay Hindi Language select kar lijiye.

Iskay baad is hi page par niche ke taraf  competition option ke niche low box ko selesct karen. Aur phir isay save kar len. Issay Keyword planner woh keyword dega jin par low competition hai aur jo aasnai se search ho jaayenge.

Iskay niche ek box aayega Your Product Services. Is box mein aap apne product ya apni services se related word dalen aur niche likhe Get Ideas option par click karen.

Ab aapke saame Google Keyword planner aapke word se related kewords ki ek list dega.  Un Keyword ke aage likha hoga ki un par traffic kaisa hai aur competition kaisi hai. Aapko aisay keywords select karne hain jinka traffic accha ho aur competition low ho.

Ab Keyword ka Istemaal karen

Aapke dwara select huye keywords ka prayog aap apni website aur blog mein kijiye. Issay in keywords ko search engine pehchaan kar kisi bhi search result mein aapki website ya blog ko search engine sabse pehle dikhayega aur apke blog ya website ko dekhne wale logon ki sankya badhati jaayegi.

Leave a comment