CCTV ki Jankari and CCTV Ke Types – Security Cameras – Hindi Me

CCTV ki Jankari and CCTV Ke Types – Security Cameras – Hindi Me

Hello dosto aaj ke article me ham kuch alag se topic pe baat karne ja rahe hai, jaisa ki aap ne article ka heading dekh he liya hoga ham aaj ke article me CCTV ki jankari ke bare me baat karne ja rahe hai. CCTV ka fullform hota hai Closed Circuit Television. CCTV ko video surveillance ke naam se bhi jana jata hai. Padhiye CCTV ki Jankari – Hindi me.

CCTV ki Jankari

Chaliye aab ham CCTV ke history ke bare me jante hai, 1942 me pahli baar CCTV camera ka uplog hua tha. 1942 me ek german company jiska naam siemens tha unhone CCTV ka uplog kiya taki vo v-2 rockets ka launch dekh sake. Pahle CCTV installation aur uske technical system ke piche teen engineers the jinka naam hai walter bruch, wayne cox aur tashara arnold. United states me pahli baar commercial CCTV banaye gaye aur in CCTV ko 1949me logo ke beech laya gaya, is CCTV ka naam rakha gaya vericon. Aaj jo security system ham apne ghar me use karte hai use banane wale the marie van brittan brown. Marie van brittan ka janm 30 october 1922 queens new york me hua tha, inhone apne husband ke sath mil kar home security susytem banaya inke husband ka naam tha albert brown.

Marie van brown ke dawara banaya gaya home security system me 4 peep holes the aur sath me camera tha jo ki upar niche aur apne side me ghum sakta tha. Camera jo bhi dekta tha vo screen me appear hota tha. Vaise toh marie ne ye system house hold use ke liye banaya tha lakin iski efficiency dekh ke log isse apni dukano me bhi use karne lag gaye the. Marie brown ke itne aache aaviskar ke liye unko national science committee dwara award bhi diya gaya.

Marie van brown ne apne system me ek aaisa device include kiya tha vo house ke owner ko camere me hone wali sabhi gatividi apne television par dikh jata tha, ghar ke aandar baitha person bahar aaye vyakti ki aawaz bhi sun sakta tha. Is tarah se home security system ka aaviskar hua tha. Chaliye aage badte hai aur CCTV se related aur kuch intresting baate jante hai.


Lenovo CPS

Droom Services CPS

 

 

Shuruwati dino me CCTV ki technology bahut advance nahi hoti thi, pahle CCTV me koi recording ya information storage ki facility nahi hoti thi, CCTV ke owner ko continue screen ko monitor karna padta tha. 1970 ke dashak me vcr technology CCTV me introduce hua, vcr ka fullform hota hai videocassette recorder, vcr ek aais avecide hota hai jo analog audio aur analog video record karta hai. Vcr pre recorded tapes ko bhi play kar sakte hai, 1980 se 90 ke dasak me pre recorder tapes aasani se available the kharidne ke liye.

1990 ke dashak me digital multiplexing shuru hua jisse bahut se camera ek sath record kar sakte the, aur sath he sath le time lapse bhi shoot kar sakte the. Is aanokhe feature ke wajay se samay aur paise dono bache aur sath he sath CCTV ka uploy me briddhi hui. 1968 me olean new york me CCTV ka prayog streets me hone laga taki crime kam kiya ja sake aur 1973 me new york ke times square par CCTV ka upyog kiya gaya.

Types of CCTV Cameras

Day/ nights cameras – day / night CCTV cameras ka use 27/7 kiya jata hai, day nights cameras ko design aaise kiya jata hai ki vo har condition me video capture kar sake. Inko design is tarah kiya jata hai taki ye direct sunlight aur reflections me bhi kaam kar sake.

Wireless camera – ye cameras internet se connected hote hai, wireless cameras network ka use kar ke capture kiye gaye har image ya fotage ko monitor me send karte hai.

Hd cameras – hd cameras ko jada security wale jagah me lagaya jata hai, iska use goverment offices ya kisi private place me lagaya jata hai. Hd cameras me high resolution lens ka use hota hai.

Infrared cameras – infrared cameras ka use raat ya sham ko hota hai. Inko design he isliye kiya jata hai taki ye cameras raat me hone wale movements ko capture kar sake. Infrared cameras images ko infrared lightings ke help se capture karta hai. Infrared lightings lens ke surroundings me hote hai.

Discreet cameras- ye cameras ko ham bol sakte hai aaise camera jo area me ghul mil jaye. Basically ye camera aap ke aas pas ke kisi bhi object me ho sakte hai.

Varifocal camera – varifocal cameras vo camera hote hai jisse operator object par zoom in and zoom out kar sake. Basically in cameras ko design isliye kiya gaya taki ye cameras dur se kisi object par zoom kar sake. Varifocal cameras kisi object par zoom kar sakte hai vo bhi bina focus lose kare. Varifocal cameras bahut madadgar samit ho sakte hai.

Ptz cameras – ptz or pan tilt zoom cameras left right up-down motion me move kar sakte hai. Ye cameras viewer ko jada freedom deta hai alag alag angle se us area ko dekhne ke liyea. Ye cameras manually controllable hote hai.

Dosto umeed hai aap ko is article se CCTV cameras ke bare me sab doubts clear ho gaye honge.

Leave a comment